Google Search

Custom Search

Thursday, 3 July 2014

Aye Mere Watan Ke Logo Song Lyrics

This ‘Aye Mere Vatan Ke Logo’ is Hindi Desh Bhakti Geet, which can be categorized in the non filmy albums of Indian patriotic songs.

The history behind this song is, it was performed after few months later for commemorating Indian soldiers who died during the Sino-Indian War. The venue was Ramlila ground New Delhi, and date was 26 January 1963.

This all-time green song written by Kavi Pradeep, and it was sung by none other than great Lata Mangeshkar in the presence of Prime Minister Jawaharlal Nehru. This heart touching Aye Mere Vatan Ke Logo song’s music composed by C. Ramchandra.

Here is my loyal try to present Aye Mere Vatan Ke Logo song lyrics. If you have any suggestion about this, please feel free to comment.


Aye mere watan ke logo
tum khub laga lo naraa
ye shubh din hai ham sab ka
lahara lo tiranga pyaraa

par mat bhulo seema parr
viro ne hai pran ganvaye
kuch yad unhein bhi kar lo    (2)

jo laut ke ghar na aaye       (2)

aye mere watan ke logo
zara aankh main bhar lo paani
jo shahid hue hain unki
zara yad karo qurbaani

jab ghayal hua himalay
khatre main padi aazadi
jab tak thi saans lade woh
phir apni lash bichha di

sangin pe dhar kar matha
so gaye amar balidaani
jo shahid hue hain unki
zara yad karo qurbaani

jab desh main thi diwali
woh khel rahe the holi
jab ham baithe the gharon main
woh jhel rahe the goli
the dhanya jawan woh apane
thi dhanya  unaki jawani

jo shahid hue hain unki
zara yad karo qurbaani
koi Sikh koi Jaat Maratha
koi Gurakha koi Madaraasi
sarahad pe marane waala
har vir tha bharat vaasi

jo khun gira parvat par
vo khun tha hindustaani
jo shahid hue hain unki
zara yad karo qurbaani

thi khun se lath-path kaya
phir bhi bandook uthayee
dus-dus ko ek ne mara
phir gir gaye hosh gava ke
jab ant samay aaya to
kah gaye ke ab marate hain
khush rahana desh ke pyaaron
ab ham to safar karate hain



kya log the woh deewane
kya log the woh abhimani
jo shahid hue hain unki
zara yad karo qurbaani

tum bhul na jaao unko
is liye kahi ye kahaani
jo shahid hue hain unki
zara yad karo qurbaani

Jay hind
Jay hind ki sena  (2)

Jay hind


No comments:

Post a Comment