Google Search

Custom Search

Friday, 25 July 2014

Apni Azadi Ko Hum Hargiz Mita Sakte Nahi Song Lyrics from Leader

When we think about Indian patriotic songs, the two legendary names automatically come to our mind first is Mohammed Rafi and second is Lata Mangeshkar. With their magical voices, they made lots of Desh Bhakti Geets evergreen and popular. Here is yet another patriotic song lyric I am representing on my blog. The song name is 'Apni Aazadi Ko Hum Hargiz Mita Sakte Nahi' and of course; it was sung by Lata Didi and great Rafiji.

This Apni Aazadi Ko Hum Hargiz Mita Sakte Nahi song is from Hindi movie Leader, which was released in 1964 and this song's lyrics written by Shakeel Badayuni while music given by Naushad.

Here is the great song with perfect lyrics. Enjoy!!


Apni aazadi ko hum hargiz mita sakte nahi
sar kata sakte hain lekin sar jhuka sakte nahi

humne sadiyon mein ye azaadi ki nemat payi hai
humne ye nemat payi hai
saikdon qurbaniyan de kar ye daulat payi hai
humne ye daulat payi hai

muskura kar khayi hain seeno pe apne goliyan
seeno pe apne goliyan
itne veerano se guzre hain to ye jannat payi hai
khaak mein hum apni izzat ko mila sakte hain
apni aazadi ko hum hargiz mita sakte nahin

kya chalegi zulm ki ahele wafa ke samne
ahele wafa ke samne
aa nahin sakta koi shola hawa ke samne
shola hawa ke samne

laakh faujein leke aaye aman ka dushman koi (2)

ruk nahin sakta hamari ekta ke samne
hum wo pathar hain jise dushman hila sakte nahin
apni aazadi ko hum hargiz mita sakte nahin
sar kata sakte hain lekin sar jhuka sakte nahin
sar jhuka sakte nahin

waqt ki awaz ke hum sath chalte jayenge
hum sath chalte jayenge
har Kadam par zindagi ka rukh badalte jayenge
hum rukh badalte jayenge
gar watan mein bhi milega koi gaddar e vatan
koi gaddar e vatan


apni takat se hum uska sar kuchalte jayenge
ek dokha kha chuke hain aur kha sakte nahin
apni aazaadi ko hum hargiz mita sakte nahin
vande matram vande matram vande matram

hum vatan ke naujawan hain humse jo takrayega
humse jo takrayega
wo hamari thokaron se khaak mein mil jayega
khaak mein mil jayega

waqt ke tufan mein beh jayenge zulm o sitam
asmaan par ye tiranga umar bhar lehraayega
umar bhar lehraayega

jo sabak bapu ne sikhlaya bhula sakte nahin

sar kata sakte hain lekin sar jhuka sakte nahin    (2)


You May also Like:  De Di Hame Azadi Lyrics in Hindi


No comments:

Post a Comment