Google Search

Custom Search

Monday 10 February 2014

Aarambh Hai Prachand Song Lyrics from Gulaal

These Aarambh hai prachand lyrics are from Hindi movie Gulaal, which was released in the year 2009. The star cast in the movie includes Deepak Dobriyal, Kay Kay Menon, Aditya Srivastav, Piyush Mishra and was superbly directed by Anurag Kashyap.

Piyush Mishra played very all-rounder type of role in this movie because he not only penned these Aarambh hai prachand lyrics but also played leading role and it’s music as well composed by him.

Check out these inspirational Aarambh hai prachand lyrics from Gulaal.


Aarambh hai prachand bol mastakon ke jhund
Aaj jung ki ghadi ki tum guhaar do

(Aarambh hai prachand bol mastakon ke jhund
Aaj jung ki ghadi ki tum guhaar do
Aan ban shan ya ki jaan ka ho daan aaj
Ik dhanush ke baan pe utaar do) - (2)

Aarambh hai prachand

(Mann kare so pran de, jo mann kare so pran le
Wahi toh ek sarv shaktiman hai) - (2)

Vishv ki pukar hai yeh bhaagwat ka saar hai
Ki yuddh hi veer ka praman hai
Kauravo ki bheed ho ya, pandavo ka nid ho
Jo lad saka hai woh hi toh mahan hai
Jit ki hawas nahi, kisi pe koyi vash nahi
Kya jindagi hai thokaro pe mar do
Maut ant hai nahi toh maut se bhi kyun dare
Jake aasmaan mein dahad do

Aarambh hai prachand bol mastakon ke jhund
Aaj jung ki ghadi ki tum guhaar do

Aan ban shan ya ki jan ka ho dan aaj
Ik dhanush ke baan pe utaar do

Aarambh hai prachand

(Woh daya ka bhav ya ki shaurya ka chunav
Ya ki har ka woh ghanv tum yeh soch lo) - (2)

Yaa ki pure bhal par jala rahe vijay ka lal
Laal yeh gullal tum soch lo
Rang kesari ho ya mridang kesari ho
Ya ki kesari ho taal tum yeh soch lo

Jis kavi ki kalpana mein jindagi ho prem geet
Uss kavi ko aaj tum nakar do
Bhigati maso mein aaj, phulati ragon mein aaj
Jo aag ki lapat ka tum bakhar do

Aarambh hai prachand bol mastakon ke jhund
Aaj jung ki ghadi ki tum guhaar do

Aan ban shan ya ki jan ka ho dan aaj
Ik dhanush ke baan pe utar do
Aarambh hai prachand - (3)

No comments:

Post a Comment