Google Search

Custom Search

Sunday 28 July 2013

Chhodo Kal Ki Baatein Lyrics from Hum Hindustani

This is the first old Hindi song of great singer Mukesh on my blog. It's my pleasure that this evergreen 'Desh Bhakti Geet', I am adding on the behalf of upcoming Indian independence day.

Chhodo Kal Ki Batein song lyrics from the movie Hum Hindustani which was released during the year 1960. This song is very beautifully sung by Mukesh Mukharji, and it was written by lyricist Prem Dhawan.The Music of this song as well as whole songs in the movie Hum Hindustani composed by Usha Khanna.

Enjoy this 'Desh Bhakti Geet' Chhodo Kal Ki Baatein lyrics sung by Mukesh.


Chhodo kal ki baatein, kal ki baat purani
Naye daur mein likhenge milkar nayi kahani
Hum hindustani, hum hindustani    (2)

Aaj purani zanjeeron ko tod chuke hain
Kya dekhe us manzil ko jo chhod chuke hain
Chand ke dar pe jaa pahuncha hai aj zamana
Naye jagat se hum bhi nata jod chuke hain
Naya khoon hai
Nayi umangein
Ab hai nayi jawaani, hum hindustani

Chhodo kal ki baatein, kal ki baat purani
Naye daur mein likhenge milkar nayi kahani
Hum hindustani, hum hindustani

Aao mehnat ko apna iman banaye
Apne hathon ko apna bhagwan banaye
Ram ki is dharti ko gautam ki bhoomi ko
Sapnon se bhi pyaara hindustan banaye

Naya khoon hai, nayi umangein
Ab hai nayi jawani, hum hindustani


Chhodo kal ki baatein, kal ki baat purani
Naye daur mein likhenge milkar nayi kahani
Hum hindustani, hum hindustani

Har zarra hai moti, aankh uthakar dekho
Maati mein sona hai, haath badhakar dekho
Sone ki yeh ganga hai, chandi ki yamuna
Chaho to patthar pe dhaan ugakar dekho
Naya khoon hai, nayi umangein
Ab hai nayi jawaani

Hum hindustani, hum hindustani

Chhodo kal ki baatein, kal ki baat purani
Naye daur mein likhenge milkar nayi kahani
Hum hindustani, hum hindustani (2)




No comments:

Post a Comment